Jump to content

User:Syfi Malik

From Wikipedia, the free encyclopedia

Hey! I made another account because well my reasoning. If you can figure out who I am then good for you but I don't feel like saying. Yep your thinking well thats pointless BUT I don't care! I'm free to do what I want I'm me and thats who Im going to be. Thanks for understanding. - Uf ALLAH, Intro!!! Chalo rasm-e-duniya nibhany ki khatir apna intro kraty hain agarche hmen apna ap bayan krna by-had kathan lgta hy kiunky phir Doxry hamen mian mithoo samajhna shuroo kr dety hain, Dar-haqeeqat hamen apny andar khamiyaan search krny sy bhi ni milti blky hm tu un khoobiyon pr bhi apni ajaara-daari qayem kr lety hain jo ky siry sy hum me hain hi ni.*:-) Andaza kren! Khair, mera name syfi hy, mazzaaj pehly shaahaana aur haakmana tha, mature hony ky baad thora aajzaana ho gaya. Barish ka Deewana hoon, music sy bhi thora bahut lgao hy, Attaullah Khan Niazi ki aawaz kaanon ko bhali lgti hy. Insanon sy peyar hy jin me insaniyat ho, khas tor pr bzrgo'n sy. Parents behn bhai best friends hain, rixhton ki izat aur pehchan krna inhi sy seekha hy. Bachon ki khubsurti, mardon ka etmad aur auraton ki khub-seerti bahut attract krti hy. Ye khoobiyaa'n parh kr ye mt tassawar kijiye ga ky hum koi bzurg hain:) I'm just 24 years old. Ye intro bahot ho chuka, ab zra aapas ki baaten ho jayen:) mujhy apny baary me hamesha ye raha hy ky main bahot munnazam aur suljhi hoi zindagi guzaar raha hoon, is baary me kixi ko koi shubba bhi nahi. Mujhy hairat hoti hy un logon pe jo zindagi ko "Geo aur jeeny do" ky maqooly ky teht guzaarny ki bjaaye mazaaq samajh kr guzaarna shuroo kr dety hain. Zindagi ba-usool tareeqy sy bhi guzari ja skti hy. Mera waasta bhi zeyaada tar ba-usool logon sy hi para hy jis ki waja sy mujhy bhi usoolo'n ky teht jeeny ki aadat ho gai hy. Usool aisy hony chaahiyen ky doosry ki life pe asar andaz na hoon aur na hi badly ja saken. Mera halqa-e-ahbaab be-had wasee hy. Doxton ki tadaad bhi achi khaasi hy lekin mery tamaam friends mery mazaaj sy mukhtalif hain. Main un ki aadaat-o-atwaar sy kabhi mutaasir nahi hoa, amooman mery dost hi mera life-style apnaany ki koshish krty hain. Zindagi guzaarny ky liye mery chand usool hain jo main na bhi chaaho'n tu bhi mery dosto'n ki zindagio'n me shamil ho jaty hain. Main doston sy kbhi bhi zeyada tawaquaat nahi rakhta aur na hi un jaisa ban'ny ki koshish krta hoon. Main apny usoolon ki qurbaani kabhi nahi deta aur na hi mery usoolon ny mujhy zindagi sy bezaar kia hy. Main ny ye seekha hy ky ALLAH PAK ki zaat pe kaamil eemaan insaan ko zindagi me duniya ky saamny zaleel nahi hony deta. Buneyaadi usool khud-daari and apny aap sy mukhlis hona hy. Ye wo behtreen usool hain jo main ny apny paly sy baandh liye hain and ALLAH PAK ka shukar hy ky main bahot mutma'in hoon. Zindagi bahot mukhtasar hy, ye sub ko pta hy. Khwa-mkhaw me hala-gula krny ki khwaahish kbhi nahi rahi. Agarche mery ird-gird rehny waly aisy mawaqe bahot talaash kr lety hain lekin main khushiyo'n ko kasheed krna janta hoon. Har wo lamha jo meri zindagi me mussarrato'n ki naveed laaya, us ko celebrate krna acha lgta hy. Contact Information Profile facebook.com/syfi.malik